Thursday, 18 November 2010

Waqt-e-Dua mein ik dua karon

Waqt-e-Dua mein ik dua karon
Main Rab se ik ilteja karon

Tu khush rahay tu shaad rahay
Tere dil ka Aangan abaad rahay
Tu phoolon ki maanind khila rahay

Teri zindagi mein koi ghum na ho
Teri aankh kabhi num na ho

Tujhe kisi se koi gila na ho
Koi dukh tujhe mila na ho

Teri rad kabhi dua na ho
Tere lab pe koi sada na ho

Tujhe bin maangay wo ataa karay
Teri ma'af har ik khata karay
Ameen

No comments:

Post a Comment