Saturday, 26 February 2011

Kuch apni ghaltiyon ka azala karo Wasi

Kuch apni ghaltiyon ka azala karo "wasi"
Yon nafraton ko dil me na pala karo "wasi"

Sidha sa 1 sawal hai sidha jawab do
Yon muskura k mujh ko na tala karo "wasi"

Alfaz gira dete hain jazbat ki qeemat
Jazbat ko Lafzon me na dhala karo "wasi"

Sambhle howe logon k girne ki fikar choro
Jo gir rahe hain unko sambhala karo "wasi"..

No comments:

Post a Comment