Har wada-e-wafa ko bhulane ka "Shukriya"
Diwana kar k aankh churanay ka "Shukriya"
Hum jante thay aap k qabil nahi hain hum,
Kuch roz dil aas barhanay ka "Shukriya"
Taabeer jin ki daikh kar aankhen hain zakhm zakhm,
Itne haseen khuwab dikhane ka "Shukriya"
Jin khush gumaniyon mein thay aansu thame thame,
Us khush gumaniyon pe hansanay ka "Shukriya"
Maana k is saluk k qabil nahi thay hum,
Har faasla mitta k barhane ka "Shukriya"
No comments:
Post a Comment