Monday, 14 March 2011

Hum ne sub kuch seekha

Hum ne sub kuch seekha,

ek na seekha tou Deen;



Hum ne sub kuch samjha,

ek na samjha tou Quran;



Hum ne sub kuch apnaya,

ek na apnayi tou sunnat k

mutabiq zindagi;



Hum ne sub ko waqt diya,

ek na diya tou Namaz ko;



Hum ne har cheez ki tayari ki,

ek na ki tou Aakhirat ki;



Hum ne sub ko tou raazi kiya,

magar na kiya raaz tou apne

ALLAH ko.

No comments:

Post a Comment