Friday, 11 March 2011

Husan wale pyar mein mehboob ko kya dete hain

Husan wale pyar mein mehboob ko kya dete hain,

Do din pyar kiya, phir bhula dete hain



Aashiqo ki qismat hai bus trapna,

Girte hain jo un k aansoo wo zamee ko jala dete hain



Is jahan mein apni khushion ki khatir ay jaan,

Dusron ki khushion ka gala daba dete hain



Husan wale se na tum itna pyar karo,

Ye tou aashiqo ki mout par bhi muskura dete hain



Na karna aitbaar matlabi logo par,

Be'wafa log hi aashiyana jala dete hain.

No comments:

Post a Comment