Kya andheron k dukh, kya ujhalon k dukh,,
Jab hara dein muqadar ki chaalon k dukh
Jin ki aankhein nahi wo na royen kabhi,,
Jaan jayen agar aankh walon k dukh
Meri manzil kahan humsafar hai kidher,,
Maar dalein gay ab en sawalon k dukh
Tum miley ho, tumhari muhabbat nahi,,
Hijr se barh gaye hain wisalon k dukh
Do ghari k liye paas betho agar,,
Bhool jayen gay hum kitnay saalon k dukh
Meri sochon k jaltay huway dasht se,,
Cheen le aa k apne khayalon k dukh.
No comments:
Post a Comment