Saturday, 26 March 2011

Mujhe is se koi gharz nahi mere ru'baru koi or hai

Mujhe is se koi gharz nahi mere ru'baru koi or hai,
Meri khuwahishon k jahan mein meri aarzu koi or hai..

Mujhe kal bhi teri talash thi, mujhe aaj bhi teri talash hai,
Na wo justaju koi or thi, na ye justaju koi or hai..

Main hadood-e-jism jo tor kar nikal gaya tou pata chala,
Jahan mein hi main tha, meri tarha wahan hu'ba'hu koi or hai..

Tujhe kese khud se juda karon, tu juda nahi meri zaat se,
Ye bata main koi or hun, ya bata k tu koi or hai?

No comments:

Post a Comment