Wednesday, 16 March 2011

Usey bana kar ghazal main subh-o-sham

Usey bana kar ghazal main subh-o-sham likhta raha,

Haqeeqat ki har gari main usey salam likhta raha



Wo meri muhabat ko mera junoon samajh betha,

Main naam-e-muhabat ko baar baar likhta raha



Kar lo iqrar-e-dil'lagi mujh se ye kaha us se main ne,

Ajab shakhs tha mujhe hi bewafa likhta raha



Uski aarzu ye thi k bhool jao mujhe,

Main har deewar par ishq ki inteha likhta raha



Zulm sehna hi tou ishq ki meraj hai,

Wo badnaam kar raha main nadaan likhta raha.

No comments:

Post a Comment