Thursday, 3 March 2011

Zuban tak jo na aaye, wo muhabat or hoti hai

Zuban tak jo na aaye, wo muhabat or hoti hai,

Fasana or hota hai, haqeeqat or hoti hai



Ye maana sheesha-e-dil ronaq-e-bazar hota hai,

Magar jab toot jata hai to qeemat or hoti hai



Nigaahein jaanch leti hain muhabat ki adaaon ko,

Chupanay se zamanay bhar mein shohrat or hoti hai



Ye maana husn ki fitrat bohat nazuk hai "Ghalib"

Mizaaj-e-ishq ki lekin nazaqat or hoti hai.

No comments:

Post a Comment