Bohut tootay huwy hain hum, abhi dastak nahi dena
Hamari aankh hai purnum abhi tastak nahi dena
Mere yaaro abhi kuch din mere ahwaal mat poocho
Abhi dil mein hai uska ghum, abhi dastak nahi dena
Shab-e-tanhai mein abhi tarapna hai bohut mujhko
Abhi hai dard kuch madham abhi dastak nahi dena.
No comments:
Post a Comment