Thursday, 21 April 2011

Dukh jhelta raha kabhi tum se nahi kaha

Dukh jhelta raha kabhi tum se nahi kaha,

Dil doobta raha kabhi tum se nahi kaha



Dunya ne tere naam pe kya kya sitam kiye,

Main toot'ta raha kabhi tum se nahi kaha



Itni hui hain kirchiyaan mere khaloos ki,

Main dekhta raha kabhi tum se nahi kaha



Be-dard aansooun k samandar mein raat din,

Main doobta raha kabhi tum se nahi kaha



Aakhihr koi tou baat thi jo hum na mil sake,

Main sochta raha kabhi tum se nahi kaha.

No comments:

Post a Comment