Wednesday, 6 April 2011

Hui hai sham tou ik shakhs yaad aaya hai

Hui hai sham tou ik shakhs yaad aaya hai,

Mere zehn mein phir wohi sawal aaya hai



Meri chahaton ki qadar na ki usne,

Aaj uski muhabat par zawal aaya hai



Torr k ta'aluq wo bhi sukoon mein na tha,

Apni he zaat par usko malaal aaya hai



Wo laut aaya hai apne mufaad ki khatir,

Main ye samjha k usey mera khayal aaya hai.

No comments:

Post a Comment