Wednesday, 20 April 2011

Meri jaan aa mere aangan mein zara sham k bad

Meri jaan aa mere aangan mein zara sham k bad

Kil k maangen gay muhabat ki dua sham k bad



Jin ki taqdeer mein khuwab nahi neend nahi

Aorh lete hain sitaro ki rida sham k bad



Aao mil baith k kuch waqt guzaren jana

Main sunaon tujhe tu apni suna sham k bad



Tum mujhe chor gaye sham se pehle pehle

Ye na pucha mera kya haal huwa sham k bad



Tum yahan thay tou Her ek sham saji rehti thi

Ab tou lagta hai sham hoti nahi sham k bad.

No comments:

Post a Comment