Sunday, 3 April 2011

Wo ek shakhs jo humein zindagi se piyara hai

Wo ek shakhs jo humein zindagi se piyara hai,

Baghair us k veraan ye jahan sara hai



Wo nahi jaanta k uski zaat kya hai,

Wohi tou hai jo muhabbat ka ek sitara hai



Nahi milta tou dil ki halat ajeeb hoti hai,

K iss mein mera nahi dil ka qasoor sara hai



Wo apni sub baaton ko chup chup k bayan karta hai,

Yehi tou ada hai jis ne humein mara hai



Wo kya tha, kya hai, kya hoga, kya khabar,

Yehi pata hai k wo jaisa bhi hai

Bus hamara hai

Bus hamara hai

No comments:

Post a Comment