Sunday, 1 May 2011

Maa sath hai to saya-e-qudrat bhi sath hai

Maa sath hai to saya-e-qudrat bhi sath hai,
Maa k baghair aisa lagay din bhi raat hai

Main door hun tou uska mere sar pe hath hai,
Mere liye to Maa hi meri qainaat hai

Daman mein Maa k sirf wafaon k phool hain,
Hum saray apni Maaon k qadmon k dhool hain

Aulad k sitam usay hans kar qabool hain,
Bachon ko baksh dena hi Maa k usool hain

Din raat us ne paal k humko bara kya,
Girne laga to Maa ne mujhe phir khara kiya

No comments:

Post a Comment