Ujray Huwy Logon Se Guraizan Na Huwa Kar
Thursday, 5 March 2015 -
Ghazal SMS
No comments
Ujray Huwy Logon Se Guraizan Na Huwa Kar,,
Haalaat ki Qabron k yeh Qutbay bhi parha kar..
Kya janiye kyon tex hawa soch mein gum hai,,
Khwabeda parindo ko darakhton se urra kar..
Us shakhs k tum se murasim hain tou hongay,,
Woh jhoot na bolay ga mere samne aa kar..
Ab dastaken de ga tu kahan ay gham-e-ahbab,,
Maine tou kaha tha mere Dil mein raha kar..
Har waqt ka Hansna tujhe barbaad na kar de,,
Tanhai k lamhon mein kabho Ro bhi lya kar..
Woh aaj bhi Sadyon ki musafat pe khara hai,,
Dhoonda tha jisay Waqt ki Deewaar gira kar..
Barham na ho kam-fehmi ko teh nazra par,,
Ay qaamat-e-fun apni bulandi ka Gila kar..
Ay Dil tuhhe dushman ki bhi pehchan kahan hai,,
Tu halqa-e-yaran mein bhi Muhtaat raha kar..
Main mar chuka, mil bhi chuka Moj-e-hawa mein,,
Ab raat ka Seenay pe mera naam likha kar..
Pehle sa kahan ab meri Raftaar ka aalam,,
Ay gardish-e-doran zara tham k Chala kar..
Is rut mein kahan Phool khilen gay dil-e-nadan,,
Zakhmon ko hi wabistaye zanjeer-e-saba kar..
Ik rooh ki faryaad ne Chonka dya mujhko,,
Tu ab tou mujhe jisam k Zindaan se riha kar..
Is shab k Muqadar mein Sahar hi nahi "Mohsin"
Dekha hai kayi baar Chiraghon ko bujha kar.

0 comments:
Post a Comment